Monday, 6 August 2012

Jo Dharti Bhook Ugalti ho

Jis Dais k Koochay Koochay Mai
Aflaas Aawara Phirti Ho

Jo Dharti Bhook Ugalti ho
Aur Dukh Falak se Girta ho

Jahan Bhookay Nangay Bache Bhi
Aahoon pe Paalay Jaate hon

Jahan Sachai k Mujrim Bhi
Zindan mai Daale Jaate Hon

Us Dais ki Mitti Barson se
Ye Dukh Jigar Per Sehti Hai

Aur Apne Dais k Logon ko
“Aazadi Mubarak” Kehti Ha

No comments:

Post a Comment